Blogging

SEO Kya Hai What Is Seo-Search Engine Optimization Full Guide

Aj me Apke Liye Lekar Aya Hu Naya  Topic Blogging Ke Bare Me Jo Apko Google Or Dusre Kisi Bhi Search engine Me Apni Post Rank Karna Ke Liye Bahut Kam Ayega.To chaliye Shuru Karte He.SEO Kya Hai(What Is Seo)-Search Engine Optimization In Hindi

Koi Bhi Blogger Jo Aaj Sucess He un Sabhi Ne Apne Post Likhete Samay SEO Par Bahut Hi Dhyan De Kar Work Kiya Hoga.Jiski Wajah se Aj Wo Success He.blogging Me Success Hone Ke Liye SEO bahut Jyada Important He.To Chalo Jan Lete He SEO kya Hai(What Is Seo)-Search Engine Optimization In Hindi. Seo Meaning Kya Hai.

SEO Kya Hai What Is Seo-Search Engine Optimization Full Guide

SEO Kya Hai(What Is Seo)-Search Engine Optimization In Hindi

Aaj Ham SEO kya hai. Isake bare me baat karenge. SEO ka full Form hota hai Search Engine Optimization. Is Duniya me bahut sare blogger hain. Jo daily apne website me post likhte hain. Aur KArodon log Apni Information Google ya Koi aur search Engine me search karte hain. But Ek Topic ke hajaron post hote hain. Ab sare post ko Search Engine ek page me nahi la sakta hai. Isaliye Search Engine ne Ek Tarika nikala. Jisaka naam hai SEO.

Search Engine ne Blogger ko Post likhne ke liye Kuchh Rule banaye hai. Use SEO kaha jata hai. Jo Blogger SEO ke Requirements ke anusar post likhta hai. Usaka Post Google First page me show karta hai. Matlb Ki Jisake post ki quality Aur Content Achchhe hote hain. Usaka Post First rank me aata hai. ISi ko Hi SEO ya Search Engine Optimization kahte hain. SEO ke karan koi website ya post Google me rank karta hai. Aur Jisase logon ko wo post first page me dikhai deta hai.

SEO Search Engine Optimization Kyon Important Hai

To Doston SEO kyon Important hai. SEO Kya hai Aur Kyon IMP Hai. Ye Question aapke man me jarur aa raha hoga. Aur ye baat aapko janana bahut Important hai. To Doston Duniya me bahut sare website hain. Aur har Inshan ke website use karne ke Pichhe. Apana alag hi matlab hota hai. Kuchh Log Apna naam kamane ke liye website banate hain. To Kuchh Log paise kamane ke liye. But kuchh log aise bhi hote hain. Jo Timepass karne ke liye website banate hain.

What is SEO and how it works (SEO Kya Hai Or Work Kaise Karta He)

Ya Dusaron ke Content ko Copy kar ke. Usame thoda baht Change kar lete hain. Aur apne blog ya website me upload kar dete hain. Aise me jo achchhe Aur Original Content hote hain. Wo Pichhe chhot jate hain. Isliye Google ne SEO ka creation kiya. Jisake anusar kewal wahi Content Google ke first page me aayenge. Jo Original Aur New ho. SEO Friendly post likhne ke liye bahut hard work karna hota hai. Aur Jo Copy karte hain. Wo ye hard work nahi kar sakte hain.

ISliye Google SEO Friendly Post ko first page me jagah deta hai. Jisase Hard Work karne walon ko koi problem na ho sake. Aur wo apne post logon ke sath share kar saken. Jo hard work aur new content nahi likhega use SEO ke bare me kabhi pata nahi chal sakega. “SEO kya hai” ye janne ke liye New Content post likhna bahut Important hota hai.

Types Of SEO ( SEO Ke Prakar)

Ab ham SEO ke type ke bare me janenge. Aaj Website bahut hi bade paimane me fail gaya hai. Sabhi Website users ko apne website ke liye SEO bahut Important hota hai. Kyonki Bina ‘SEO’ koi bhi website Google me run nahi kar sakta hai. Koi bhi website Google search Engine me rank karti hai. JIsame bare me mai abhi aapko batane ja raha hun. Yahi sabse best tarika hai. Jisase Aapke website me bahut sare visiters aayenge. Aur aapki website aage badhegi. Generaly SEO ke 2 Type hote hain.

  • On Page SEO
  • Off Page SEO

Isi 2 Tarike se kici bhi website ki ranking badhayi ja sakti hai. Agar ham in 2 tarikon ke bare me jaan jayenge to website me bahut sare bloggers aayenge.

What Is On-Page SEO (On-Page kya hai)

Ab Ham jante hain On-Page SEO ke bare me. On page SEO ka matlab hota hai. Apne Website ke post ko. Google Aur SEO ke Writing Rools ke According banana. HAm Jab Koi Post Likhte hain. To Post Ko SEO Friendly banana hota hai. Post Ko Edit kar ke Use Attractive banate hain. Achchhe Content use karte hain. Apne Website Post Ka SEO Score Increase karte hain. Use hi Ham Fully On page SEO kahte hain. “On Page SEO Post” Writing ke samay kiya jata hai. Ye Aapke Website aur Post par Depend karata hai. Aur wo kya hai. Mai niche bata raha hun.

How To Setup On-Page SEO (On-Page SEO Step)

Ab aapko On page SEO ke liye Website Ki speed ke bare me batane ja raha hun. Jo Google Aur SEO ke liye bahut Important hota hai.

#01 Website Speed
  • Aapke Website Ki speed On-Page SEO Ke liye Bhut Important hota hai.
  • Google Aapke Website ke speed ko dekh kar. Aapke website Ko rank karata hai.
  • Aapke Website ke Open hoe ki speed. 1 se 5 seconds hai to. Aapki website fast hai.
  • Jab aapki website ki speed 5 se 10 second hai. To aapki website avrage hai. Jise aapko Improve karne ki zarurat hai.
  • Aur jab aapki website 10 second se jyada hai. To aapki website poor hai. Aapko Immigiate Use Improve karne ki zarurat hai.
Website slow Kaise Hota hai
  • Website slow tab hota hai, JAb ham Apne website me bade size ki pictures upload karte hain. Jisase jab koi website opens karta hai. Tab Image High hone ke karan Slow upload hota hai.
  • JAb ham apne website me bahut jyada CSS Coding karte hain. Tab bhi website slow ho jata hai.
  • Ek website me bahut sare plugin hone se bhi website, Slow loading hone lagta hai.
  • Hosting Plan ke karan bhi website slow hone lagta hai.
#02 Post Title

Jab aap koi bhi post likhte hain. To Us Post ka Title bahut Important hota hai. Kyonki Titel Attractive na ho to. Users Aapke Website me click nahi karenge. Isaliye Aapko Apne Post Ka Title aise dena hoga jo Users Ko achchha lage. Aur sabse badi baat. Website ka Post title Aur Content Aisa ho jise. Log aasani se search kar saken. Jis Word ko Search Ingion me search kiya jata hai.

Post Title achchha Kaise banayen

Post Title Achchha banane ke liye. Aapko 70 Charactars se jayda Type nahi karna hai. Jyada Charactars Hone par. Aapka Post Google search Engine me show nahi hoga.

Example

  1. SEO Kya hai In Hindi – Bad Title
  2. SEO Kya hai search engine optimization In Hindi by Technical Grow – Good Title
#03 Meta Description

Kisi bhi post ke liye meta description bahut Important hota hai. Jisase Google ya Other Search Engine ko pata chal sake. Ki aapke Post me kya hai. Aur use Kaun se Keyword se Search Rank me lana chahiye. Is tarah Google aapake post ke meta Description se aapka post rank karta hai.

Meta Description Improve Kaise Karen?

Aapke Apne Post Ka meta DIscription 160 Carrectors se jyada nahi dena hai. Nahi to Google  aapke post ko rank nahi karega. Aur aapke Post Title me Jo keyword hai. Use kam se kam ek baar Apne Meta discription me jarur likhen.

#04 Internal Link

Aapke Jo Likh rahe hain. Aur Wo Post Jise aap likh chuke hain. Use Rank karane ke liye. Aapke Recent post me Related Post Ka Link jarur den. Jisase Users aapke Dusare Post ko bhi Open kar ke dekhe. Isase Aapki Website ki Ranking bahut jyada Improve hogi.

#05 Focus Keyword

Aap Jo bhi Post likhenge. Usame aapke Post Ka Focus Keyword Hona chahiye. Jisase Google Aapke Post Ke keyword KO samajh sake. Aur aapke post ko rank kar  sake.

#06 Keyword Density

Keyword Density Ye bahut Important Factor hai. Ye SEO aur aapke Post ke liye bahut Importance hai. Isaka Matlab hai ki, Aapka Title Keyword Aapke post me kitani baar repeat hua hai. Post Title me aapka keyword Kam se kam 5% bar repeat hona chahiye. Jisase aapke post ka seo score achchha ho sake.

#07 Sitemap

Sitemap ke bare me aapko pata ho hoga. Sabhi website ka ek Sitemap hota hai. Jise Create karna hota hai. Us sitemap ko Google search counsel me submit karna hota hai. Jisake karan jab Google me koi bhi koi keyword search karta hai to. Jis Website ka site map submit hota hai. Us website ko google jaldi crawl karta hai. Ye On Page SEO ke liye bahut Important hota hai. Kisi bhi website ko read karne ke liye bahut hi important hota hai.

#08 URL Structre

URL Structers Aapke Website ke Ranking me bahut Important hota hai. Aapke Website Ka URL ekdam achchha aur Clear Hona chahiye. Jis Topic me aapne apna post likha hai. Wahi Keyword Aapke URL me Use hona chahiye.

Example

https://akmemontech.us/seo-kya-hai-seo-work-kaise-karta-hai – Right

https://akmemontech.us/2018/07/fdfhnbwre Wrong

#09 Hidden Content

Kuchh Log Apne website ke Post me Kuchh Hidden Content use karte hain. Jaise Aap koi Post me click karenge to USake badle koi dusara post open ho jata hai. Jise Google hate karta hai. Aur Unka website Google me rank nahi karta hai.

#10 Bold Important Keyword

On Page SEO me ye bahut hi Important factor hai. Aapko Apne Post Ko upload karte samay ye hamesha yaad rakhana chahiye ki. Aap Jis Focus Keyword ke sath post likh rahe hain. Us word ko Aapko bold karna hai.

Example

SEO kya Hai What Is Seo-Search Engine Optimization In Hindi

Aisa karne se Google us keyword jo find kar leta hai. Jisase Google ko samjh aata hai ki. Aapke Post Ka main Moto kya hai. Aur aapka post rank ho jata hai.

#11 Website Structure

Visitors ko attract karne ke liye aapka website Structures achchha hona chahiye. Jisase Visiters aapke websites me rule. Usase Bhi badi baat aapke website Simple hona chahiye. Aur Logon ko samajh me aa jaye aisa hona chahiye. Aaj websites ko sabse jyada mobile phones me use kiya jata hai. Aisa Structure rakhen jisase Users Mobile se asani se samajh saken. Aur Aapke website me dobara se visite kare.

#12 Responsive Website

On Page SEO ke liye Website ka Responsive hona bahut Important hota hai. Responsive website ka matlab hota hai. Aap jis Device me website ko open kar rahe hain. Us website ke anusar aapka Website design ho jaye. Jaise Mobile PC ya Tablets. Users ke Suvidha ke anusar website change ho jata hai, Use Responsive website kahte hain. Aapka website Responsive hai ya nahi aap bhi chek kar sakte hain. Jisake liye aapko apne browser ko restore down ka switch click karna hoga.

#13 Heading Sequence

Website post me Website ki Heading rakhana bahut Important hota hai. Kisi bhi Post me aapko H1 H2 H3 H4 H5 H6 Heading mil jayega. Kuchh Log apne Post me ek ya 2 Heading hi use karte hain. Ya H1 Heading last me use kar dete hain. Jo ki Google Aur SEO ke liye bilkul sahi nahi hai. Aapko Heading ko achchhe se jama kar likhna hai.

#14 Post Length

On Page SEO ke anusar aap jitana Information apne visiters ko denge. Utana Hi aapka Website Rank hoga. Aapko APne Post me kam se kam 1000 Word ka post likhna bahut important hota hai. But aap apne post me word badhane le liye kuchh bhi nahi likh sakte hain. Post me Post se Related likhna bahut important hota hai. Jisase Aapka SEO score achchha ho sake.

#15 Image Alt Tag

Bahut logon ko pata nahi rahta hai ki. google kisi post ke Images ko nahi read kar sakta hai. Aap apne post me koi bhi images Uplooad kar rahe hain. To us Images me aapko Alt tag dena bahut Important hota hai. Jisake karan Google Us keyword se aapke Post Ke images ko search kar ke rank karta hai. Example Aap agar Salman khan Ka pictures add kar rahe hain. To Aapko Image alt tag me Salman khan likhna bahut Important hai.

What Is Off-Page SEO (Off-Page SEO Kya Hai)

On-Page SEO ke sath Off Page SEO bhi bahut Important hota hai. SEO kya hai Aap logon ne jaan liya hai. Ab Sabse Main aur Last hai Off Page SEO kya hai. Ise Follow karne ke baad aapka website Google Search engine me Fast Rank hona start ho jayega. Ab aapko Apne website ko kaise aage badhana hai. YE aapko batane wala hun.

#01 Search Engine Submission

Off page SEO ke liye Search Ingion Submission bahut Important hota hai. Isaka Matlab hota hai Aap Apne website ko Google Yahoo ( Yandex ) Bing jaise website me submit karna. Jisase Aapka Website Jaldi se jaldi Search Engine me aaye. Ye bahut Important hota hai. Jisase Aapke Post Search Ingion Search kar sake.

#02 Website Directory Submission

Website directory Submission ke bare me aap logon ne suna hi hoga. Kuchh Websites hoti hai. Jahan HAm apne website ka Submission karte hain. Jisase Hamari websites Bahut JAldi Search Engine me aaye. Aur Web Directory se Bahut log hamare websites ko dekh sake.

#03 Facebook Page

Off Page SEO ke liye Aapko Apne website ke iye Facebook page banana bahut Important hota hai. IIsase Aapke Website Ke backlinks bhi bante hain. Facebook ek bahut badi websites hai. Alexa Ranking me Facebook Poore world me 3 Numbers me hai. Aur Facebook me aapko bahut sare Friends mil jate hain. Jisase Aapke website me jyada se jyada visiters aa saken. Jitane jyada Log aapke website ke PAge ko Like karenge. Utana hi aapko fayda hota hai. Aap JAb bhi post Upload kar Facebook par dalenge. To aapke Visitors Instantly badh jayenge.

#04 Twitter

Twitters bhi aaj kal bahut jyada use kiya jata hai. Jisame aap post share kar ke bahut achchhi trafick pa sakte hain. Aapko Twitters me apne followers badhane hain. Jisase Aapko Trafic mile. Twitter bhi bahut bada Social Media platform hai. jahanse aap Backlinks bana sakte hain.

#05 Website Promotion

Aap Traffick ke liye apne websites ka promotion kaer sakte hain. Jisase aapko bahut sare Traffick mil Jayenge. To isake liye aap bahut sare Option choose kar sakte hain. Jaise OLX me aap apne website ka free promotion kar sakte hain. Ya aap Facebook me bhi apne website ka easy promotion kar sakte hain.

#06 Participate in Quora

Quora ke bare me Aapko pata hi HOga. Jahan par sabhi Bloggers Questions ka answers dete hain. Aap bhi Quora se jud kar dusare bloggers se question punchh sakte hain. Ya kici dusare bloggers ko usake question ka answer de skate hain. Jisase aapke website ki Strongs Backlinks banegi. Aur Aapke websites me bahut sare visiters aayenge. Ye bahut badi websites hai. Aap yahan bahut tarikon se apne websites ki ranking badha sakte hain.

#07 Blog Commenting

Backlinks bananenke liye aap Dusare Bloggers ke websites me ja kar. Unake likhe hue post me comments kar sakte hain. Jisase aapke website ki Backlinks Achchhi hogi. Aur Thodi si aapke followers bhi badhenge. Ye bahut hi achchha tarika hota hai. Kici ki websites se aasani se backlink banane. Aap bhi easily is tarike se backlinks bana sakte hain. Bas aapko comments ke sath apne websites ka url add karna hota hai.

#08 Pinterest Photo Sharing

Pinterest ek bahut badi p[hoto sharing websites. Jahan par aap apna account bana kar. Apne Websites ki photos ko upload kar sakte hain. JIsase aapke websites ki bahut achchhi backlinks banegi. Aur aapke websites me Instant visiters bhi aayenge. Aap Jab koi bhi Photo Pintrest me upload karte hain, To usame apne website ka Link add kar sakte hain.

#09 Backlinks

Backlink Matlab ki Websites ka niv. Aap jitana bhi achchha post likh len. Agar aapke website Ke liye BAcklinks nahi hain. TAb tak aapka post Google ke first second ya third page me bhi nahi aayega. Kyonki JAb aapka Post First second ya third Post se related nahi hoga. Ya kisi aise websites se jisake website me bahut jyada traffic aate hain. Tab tak aapka website rank nahi karega. Isaliye aapko Backlinks banana bahut Important hota hai.Backlink Kya Hai Uska Mene Post Likha He Ap Read Karle

#10 Guest Post

Guest Post Aapke Website ke liye bahut Important hota hai. Jisase Aapke Websites ki Trafic instant Incrace ho sakti hai. JAb aap kici bade websites me Guest post likhte hain. TAb Us website ke thode Traific aapke websites me aa jate hain. Jisase Aapki Website Incrase ho sakti hai. Ye Backlinks bahut hi achchha hota hai. ISe Hi-Quality BAcklinks bhi kahte hain. Bade website me Backlinks create karna bahut hi Important

SEO Kya hai (What Is SEO)Search Engine Optimize Akhri Word

Aapko samajh aa gaya hoga ki SEO Kya hai. Aur SEO ke Kitne Types ke hote hain. Aapko ye post achchha laga hoga to please mujhe comments me jarur batayen. Agar aapko SEO Kya hai se related koi question hai to. Aap mujhse Punchh sakte hain.

Or Ap Mere Facebook Fanpage, Twitter Or Baki Social Profile Par Follow Kare.Or Ye Post Apne Dosto Ke Social Media Par Share Kare. Or Esi he Post Ke Liye subscribe Kare Jisse Apko New Post Ki notification Mile.SEO kya Hai(What Is Seo)-Search Engine Optimization In Hindi read Karne Liye Apka Dhanyawad

Mannan memon

I Want Publish Tech News, Mobile News, Tech News, Health, Life And Card News, How To Make Money Online, Tips And Trick And Any Other Blogging WordPress And Adsense Related Help And Tips In English.

Recent Posts

PUBG Lite For IOS Full Version Free Download For iOS

Hello, Friend Welcome Again. Today I Am Sharing With A New Point From How to…

4 years ago

Fiverr Se Paise Kamaye Full Guide In Hindi-2020

Aj Me Apko Batane Ja Raha Hu Online Earning Ke Bare Me Jiise Most Popular…

5 years ago

Online Paise Kaise Kamaye, Top 10 Best Idea Online Paise Kamane Ke

Hello, Friend Welcome Again My Website. Today I Am Sharing A Wonderfull Point Sharing With…

5 years ago

Top 10 Best Phones Under 50000 In India (Flagship Mobile)-2020

Hello, Friend Welcome Again. Today I Am Sharing With New Point top 10 Mobile (Top…

5 years ago

How To Order Reliance JioMart Via WhatsApp

JioMart  An E-Commerce Platform operated By Reliance Retail Has introduced A New WhatsApp Order Booking…

5 years ago

Best Android Phones Under 15000 (Top 10 Android Phones)-2020

Samsung Galaxy M30S, Redmi Note 9 Pro, Pocco X2, And Vivo U20 These 4 Phone…

5 years ago

This website uses cookies.